Ek baar ki baat hai.Main aur mera dost
Diyansh bus se apne shehar jaa rahe thein.Main aur Divyansh bahut pahle se bus
mein baithein hue thein.Hum log baithein-baithien bor ho rahe thein.Divyansh ne
mujhey ek tarkeeb sujhae.Usne mujhe apne baare mein kuchh batanein ko
kaha.Maine usey apne baare mein sab kuch bataa diya.Achanak usney musjhse
puchha"kya tum bhoot-pret mein vishwash karte ho?'"Ha main bhoot-pret
mein vishwash karta hoo.'Maine kaha.Phir usney mujhse puchha"Agar vo
tumhare saamney aa gay to tum kya karage?'Maine kaha'Main unse daroonga
nahi.'Tabhi bus ke driver ne gaadi roki aur kaha'Main tum logo ki nirbhikta
jachana chahta hoo.'Aur hamne bhi haa kar di.Achanak hum dono ko neend aa gayi
aur jab hosh aaya to hum doono jungle mein thein.Raat bahut ho gayi thi saara
jungle shant tha.Eshaa rag raha tha jaise us jungle mein hum dono ke siva koi
aur naa tha.Hum dono apni-apni dost ke baare mein baat kar rahe they.Achanak
mujhe heere ki ek angoothi mili.Maine use na uthaya par Divyansh ne ushey utha
liya.Mera dost us heere ke under kaid ho gaya.Maine jhat se us heere ko utha
liya magar mujhe kuch na hua.Main use us heere ke under tarapte dekh laha tha
magar main kuch na kar paa raha tha.Gussey mein aakar maine ek patthar uthakar
kisi peid par de mara.Mere patthar marne ke baad ek alag aawaz aai aur jhaadiyo
ke piche se alag aawaz aai.Main bahut gussey mein tha.Maine jhaadiyo mein
patthar marein aur tab maine heere mein dekha ki vo patthar mere dost Divyansh
ko rag rahe theiy.maine turant jhadiyo mein dekha to waha par ek admara sa
aadmi dekha.maine ushe uthaya aur uska naam poocha.Usney apna naam Rachit
bataaya aur kaha'Main is jungle ka chaukidaar hoo.Maine use apne dost ke baare
mein bataya.usne kaha'Is jungle ki har cheez mujhse judi hui kai aur main is angoothi
se.Ek sher ne mujhpe hamla kiya aur mujhe kha gaya.''Kha gaya!'Maine
socha.Maine unsse pocha'Agar sher ne apko kha liya to phir aap zinda kaise
hai?'Rachit ne uttar diya'Kishne kaha ki main zinda hoo.Mujhe mare to dus saal
ho gaye.'Maine socha ki sayad ye aadmi jhoot bol raha hai.Maine use vo angoothi
de di aur divyansh vaapish aa gaya.Main usshe gsle mila achanak ek bahut
bhayanak aawaaz aayi aur waha par dus Rachit aa gaye.Hum dono bahut jayada dar
gaye.Rachit ne kaha'Es jungle ka pahredaar hone ke khatir main tumhari pariksha
looga.Batao hum mein se asli kaun hai?'Wo dasho bilkul ek jaise hi thein.Maine
unhe dhayan se dekha par mujhey koi fark mahsoos nahi hua.Divyansh ne
kaha'Achha hota ki main angooti ke under hi rahta.'Tabhi mujhe ek fark mahsoos
hua.Un duso mein se kewal ek ke pass hi wo angoothi thi.Maine use pakad
liya.Rachit ka chehra behad darawana ho gaya.Use dekh kar hum dono behosh ho
gaye neend khuli to hum dono ne kud ko bus me paya.Par bus se utarte samay
hamne driver ke haath mein wohi angooti dekhi.Hum dono ne is baat ka zikra kisi
se nahi kiya kyoki hum dono ye khud nahi samajh paa rahe thein ki ye sapna tha
ya hakikat.Hum dono aaj bhi jab is ghatna ko yaad karte hai to ham dar jaate
hai.
No comments:
Post a Comment